Rahat Fateh Ali Khan
Ishq Ne Pakra Na Tha Ghalib
Dard Ho Dil Main To Dawaa Kijiye
Dil Hi Jab Dard Ho To Kiya Kijiye!
Ham Ko Fariyaad Karni Aati Hae
Aap Sunte Nahi To Kiya Kijiye!
Ranj Uthaanay Se Bhi Khushi Ho Gi
Pehle Dil Dard Aashna Kijiye!
Maut Aati Nahi Kaheen Ghalib
Kaab Tak Afsos Zeest Ka Kijiye!
Dard Se Mere Hae Tujhko Beqarari Haae Haae
Kiya Huwi Zaalim Teri Ghaflat-Sheari Haae Haae!
Apni Hasti Hi Se Ho Jo Kuch Ho
Agahi Gar Na Sahi Ghaflat Hi Sahi!
Tere Dil Mein Gar Na Tha Aashob E-Gham Ka Hosla
Tu Ne Phir Kiyun Ki Thi Meri Gham-Gusaari Haae Haae!
Kiyun Meri Gham-Khargi Ka Tujhko Aiya Tha Khayal
Dushmani Apni Thi Meri Dost-Daari Haae Haae!
Umr Bhar Ka Tu Ne Paeman-E-Wafa Bandha To Kiya
Umr Bhar Ko Bhi To Nahi Hae Paedaari Haae Haae!
Zahar Lagti Hae Mujhe Aab-O-Hawa-E-Zindagi
Yaani Tujh Se Thi Isе Nasaaz-Gaari Haae Haae!
Zindagi Apni Jab Is Shakal Se Guzri Ghalib
Hum Bhi Kiya Yaad Karеin Ge Ke Khuda Rakhte The!
Gul-Fishaani Hae, Naz-E-Jalwa Ko Kiya Ho Gaya?
Khaak Per Hoti Hae Teri Lalakaari Haae Haae!
Sharm-E-Rusawaae Se Ja Chupna Naqaab-E-Khaak Mein
Khatam Hae Ulfat Ki Tujh Per Parda-Dari Haae Haae!
Khaak Mein Namoos-E-Paeman-E-Muhabat Mil Gae
Uth Gai Se Dunya Se Rah-O-Rasm-E-Yari Haae Haae!
Ishq Mujhko Nahi Wehshat Hi Sahi
Meri Wehshat Teri Shohrat Hi Sahi!
Ishq Ne Pakra Na Tha Ghalib Abhi Wehshat Ka Rang
Reh Gaya Dil Mein Jo Kuch Zauq-E-Khari Haae Haae!
Dard Se Mere Hae Tujhko Beqarari Haae Haae
Kiya Huwi Zaalim Teri Ghaflat-Sheari Haae Haae!