Patthar ke hain sab raaste
Parwah nahin
Dhundhle hain chehre khwaab ke
Parwah nahin
Chhalni hai seena rehne do
Ab jo bhi ho parwah nahin
Sanki hua jaata hai dil
Mann ki kiye jaata hai dil
Kadke betahasha ye
Bijli hua jaata hai dil
Sanki hua jaata hai dil
Mann ki kiye jaata hai dil
Kadke betahasha ye
Bijli hua jaata hai dil
Baadal mein dhoondhe hausle
Pagla gaye hain hausle
Gir jaaye ya udey
Ab toote ya jude, parwah nahin..
Parwah nahin, hey yeah
Parwah nahin, yeah
Parwah nahin, yeah
Jhoothe hain ya sachche hain
Sapne aakhir sapne hain
Saare taare tumhi rakh lo
Saare jugnu toh mere hain
Jhoothe hain ya sachche hain
Sapne aakhir sapne hain
Saare taare tumhi rakh lo
Saare jugnu toh mere hain
Roke ruke na dil jale
Pagla gaye hain hausle
Ziddi hain dhadkane
Ab bigde ya bane, parwah nahin
Wo, parwah nahin, o parwah nahin
Yeah parwah, nahin yeah
Saanson mein jo bhatti hai
Woh raat aur din dehakti hai
Paani-waani to dhoka hai
Ye aag aag se bujhti hai
Saanson mein jo bhatti hai
Woh raat aur din dehakti hai
Paani-waani to dhoka hai
Ye aag aag se bujhti hai
Aaye to aaye zalzale
Pagla gaye hain hausle
Sholon pe hum chale
Ab pighle ya jale, parwah nahin!