Welcome to MyBunny.TV - Your Gateway to Unlimited Entertainment!

Enjoy 6,000+ Premium HD Channels, thousands of movies & series, and experience lightning-fast instant activation.
Reliable, stable, and built for the ultimate streaming experience - no hassles, just entertainment!

MyBunny.TV – Cheaper Than Cable • Up to 35% Off Yearly Plans • All NFL, ESPN, PPV Events Included 🐰

Join the fastest growing IPTV community today and discover why everyone is switching to MyBunny.TV!

Start Watching Now
Lata Mangeshkar
Aa Ke Ab Aata Nahin Dil Ko Qaraar

Aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar (x2)
Raah takate thak gayaa hai intazaar
Aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar

Is qadar bechain hai duniya meri
Dil ki har dhadkan mein hai aahai teri
Aarazuein ho rahi hain beqaraar
Aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar

Dil sadaayein de raha hai tu kahaan (x2)
Muntazir hain chaand taare aasamaan
Ye havaaein ye fizaayein ye bahaar
Aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar

Aas tere vo hasin raatein gayi
Pyar ki rangin mulaaqaatein gayi
Rah gaya hai dard dil ki yaadgaar
Aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar

Aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar
Raah takate thak gayaa hai intazaar
Aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar