Arjun Kanungo
Jahan tum ho
Jahaan tum ho
Wahin main hoon
Tere na hone se
Lagta hai main kyun hoon
Tu hi mera kal hai
Tu hi mera aaj
Subah ki karvaton si jo hai
Shaam ki harkaton si jo hai
Baat bhi fursaton ki jo hai
Wahi tum ho
Jo aahat khushiyon ke jalne ki
Jo rahat neendon se milne ki
Jo aadat khwabon ke udne ki
Wahi tum ho
Tu hi mera kal hai
Tu hi mera aaj
Main shayad hoon
Yakeen tum ho
Mere chehre pe thehri
Ik hansi tum ho
Tera milna yun rozana
Lage saanson ki aadat
Tumko dohrana
Tu hi mera kal hai
Tu hi mera aaj
Hawayein tujhse jo guzri hain
Mujhe woh saansein banke mili hain
Zindagi ki tarah thehri hai
Dekho na tum…
Kabhi alfaaz banke mere
Zara honthon pe yun reh lena
Main bolun aur sunayi dena
Hamesha tum…
Tu hi mera kal hai
Tu hi mera aaj
Wo ho…