Anu Malik
Shaam Hai Dhuvan Dhuvan
[Ajay Devgan]
Raakh ke dher mein jalte hue sholon ko haath mat laga, jal jaayegi
[Madhoo]
Naam mera Shabnam hai, par aag toh mein bhi hoon Shaka
[Amrish Puri]
Diljale, diljale, oh laale, yahaan toh sabhi diljale hai.. hahahaa
[Poornima]
Aaa ha ha ha aaa ha haan..
Aaa ha ha haa aaa ha haan..
Aaa ha ha haa aaa ha haan..
Aa ha ha aa ha haan...
Shaam hai dhuan dhuan
Shaam hai dhuan dhuan
Ho, shaam hai dhuan dhuan
Jism ka ruan ruan..
Uljhi uljhi saanson se
Behki behki dhadkan se
Keh rahaa hai arzoo ki dastaan..
Ho, shaam hai dhuan dhuan
Shaam hai dhuan dhuan..
[Ajay Devgan]
Aarzoo jhooth hai, kahani hai, aarzoo ka fareb khaana nahi
Khush jo rehna ho zindagi mein tumhe, dil kisi se kabhi lagana nahi
[Poornima]
Mere dil pe jo likha hai
Woh tumhaara naam hai
Meri har nazar mein jaana
Tumko salaam hai
Mujhko tumse pyaar hai
Mujhko tumse pyaar hai
Mujhko tumse pyaar hai, pyaar hai, pyaar hai...
Goonjti hai mere pyaar se, yeh zameen-aasmaan
Ho, shaam hai dhuan dhuan
Haye, shaam hai dhuan dhuan..
[Ajay Devgan]
Kyu banati ho tum ret ke ye mahal, jinko ek roz, khud hi mitaogi tum. Aaj kehti ho iss diljale se pyaar hai tumhe, hhmh.. kal mera naam tak bhool jaaogi tum..
[Poornima]
Tumhe kyu yakeen nahi hai
Ke mein pyaar mein hoon goom
Ho mere khwaabon mein tum hi ho
Mere dil mein, tum hi tum..
Mujhko tumse pyaar hai
Mujhko tumse pyaar hai
Mujhko tumse pyaar hai, ha pyaar hai, hmm, pyaar hai..
Pyaar mein nisaar ho gaye
Mere jism aur jaan
Shaam hai dhuan dhuan
Jism ka ruan ruan
Uljhi uljhi saason se
Behki behki dhadkan se
Keh raha hai aarzoo ki dastaan..
Oooo.. shaam hai dhuan dhuan
Hey.. shaam hai dhuan dhuan..
[Ajay Devgan]
Ek pal mein jo aakar guzar jaata hai, ye hawaa ko woh jhonka hai, aur kuch nahi. Pyaar kehti hai ye saari duniya jisey, ek rangeen dhokha hai, aur kuch nahi..