Ali Zafar
Julie
Julie wants money, Julie wants fame
She knows the tricks, she knows the game
Julie wants money, Julie wants fame
She knows the tricks, she knows the game


Hey Julie!
Main tum se pyaar karta tha
Tira ai'tibaar karta tha
Haan tujh pe dil se marta tha
Tu meri raat ki shahzaadiyon si apsara thi
Dil-nisheen thi
Jaane kyoon mere dil ko tu ne yoon toṛa

Ho jooli
Lagti mujh ko tu bholi si
Haan mujh se tu ye boli thi
Kisi ki aur na hogi
Tu mujh ko thaam kar mera saath de gi
Gir gaya to haath degi
O farebi ye jhooṭ tu ne kyoon bola

Baaton men, teri baaton men
Aaya teri baaton men
Main deewaanah
Main deewaanah
Main deewaanah
Raaton mein sooni raaton men
Tanha tanha raaton men
Mujhe chhoṛ ke chali gayi kahaan
Chali gayi kahaan
Ik musaafir tha main tanha
Le liya ishq ka ye panga
Teri dhoke-baaz aankhon mein aa ke main ne ye jahaan chhoṛa

O jooli
Rahe gi mere bin ab tu
Chale ga mera ye jaadu
Miloon ga tujh ko main har su
Kabhi aawaaz meri sun ke taṛpe
Khushboo meri tere ghar pe
Tujh ko sone degi na jeene degi
O jooli

Lai wayi jooli
O das jooli
Lai wayi jooli
O das jooli
Lai wayi jooli
O das jooli

Daulat kamaana kih izzat kamaana
Ek din dunya se sab ko hai jaana
Pyaar hi mahaan hai
Baaqi sab saamaan hai
Aane waali naslon ko mera ye paighaam hai
Kih paisah jawaani naheen rahte o jaani
In ka bharosa naheen
Rishte aur naate aur pyaar waali baaten
In mein hai ye zindagi
Tu apni phoonk bhar ke yoon akaṛ ke
Duniya ko kya dikhaana chaahti hai
Kih tu ne kaise rang badal ke, dheeme halke, ye dekho ye kya kar diya
Julie!
Gorakh aisa ye dhanda hai
Jahaan har koyi nanga hai
Nikla jannat se bandah hai
Naheen jis ko sharam
Kyoon ho karam
Jab aasaman chhooye bharam
Insaan ko dekho kis gali la ke chhoṛa

Julie!
O meri jooli
Julie
Julie wants money – Julie wants some money
Julie wants fame – And she could do with a little bit of fame, too
She knows the tricks – And she knows all the tricks, yes, she knows them, babe
She knows the game – Julie knows the game, like that!