AUR
AUR - Dooriyaan (Romanized)

[Chorus: Usama Ali]
Nazdikiyan
Milata reh nazrein, khatam hongi yeh dooriyan
Badhata reh kadam yeh soch ke mile kaheen
Main bhatka toh pada tera chehra naqsha bana
Haan, raaz kaise tere yeh hum par khul rahe hain?
Kya raaz naye hain?
Raazon me hi ulajhe hum badal rahe hain
Kya raaz naye hain?

[Verse 1: Ahad Khan]
Main tere bina jee raha hun
Kadwa sach hai, main tanha hun, aansuon ko pee raha hun
Tum be-basi par hans rahe ho
Main apne liye mar chuka, apno ke liye jee raha hun
Dil mein lekar shikway main aasmaan ko takta hun
Khud ki kami ko main taaron pe ginta hun
Uljha hun khud mein phir khud se hi thak ke main chchoddta insaan
Khuda se baatein karta hun
Poochta hun sach mein kyu taaqat nhi hai
Tere baad sajdon me raahat mili hai
Mile itne gham mujhko sehta gya hun
Main raaton mеin rota hun, aadat nhi hai
Chahta hun aake koi mujhko hansaaye
Koi mujhpar bhi karde mohabbat kе saaye
Main likhun ki gham hai woh usko mitaaye
Koi mujhko bhi dhoonde, koi mujhko bhi paaye
Main fans chuka hun darmiyan, koi darmiyan na aaye
Hun main itna ghamzada ki mujhe main kade bulaaye
Phir bhi dekhle tu, hona hai raahon me teri fanaa
In dooriyon se behtar nazdikiyon ke pehkar
Me lagta kon tera? tu mujhse aake tai kar
Khatam karde mujhse tu yeh dooriyan
[Chorus: Usama Ali]
Nazdikiyan
Milata reh nazrein khatam hongi yeh dooriyan
Badhata reh kadam yeh soch ke mile kaheen
Main bhatka toh pada tera chehra naqsha bana
Haan, raaz kaise tere yeh hum par khul rahe hain?
Kya raaz naye hain?
Raazon me hi ulajhe hum badal rahe hain
Kya raaz naye hain?

[Verse 2: Usama Ali]
Mere aansuon ko saaf karde
Ya aankhein phirse bhar de
Me sochun betha tanhaai mein
Kiya mila tujhe bichchad ke
Main toh raaz hi reh jaaunga
Tere paas hi reh jaaunga
Tu dhundle mujhe
Khud me hi
Ki raaste mein ho rahi hai baatein
Shayad ho jaye phir mulaqaatein
Tum padhti hi nahi ho warna humne
In lafzon pe kar diye hain khulaase
Faasla bhi ek paheli hai safar mai raahi ki
Dooriyan hi toh wajah banti hai paas aane ki
Anjaan ho, nadaan ho, maloom tumko kuch nahi
Sab se haseen tasveer ho tum dil ke aashiyaane ki
[Chorus: Usama Ali]
Nazdikiyan
Milata reh nazrein khatam hongi yeh dooriyan
Badhata reh kadam yeh soch ke mile kaheen
Main bhatka toh pada tera chehra naqsha bana
Haan, raaz kaise tere yeh hum par khul rahe hain?
Kya raaz naye hain?
Raazon me hi ulajhe hum badal rahe hain
Kya raaz naye hain?