Mohammed Rafi
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye
Ye mahalo ye takto
Ye taajo ki duniya
Ye insan ke dushman
Samaajo ki duniya
Ye insan ke dushman
Samaajo ki duniya
Ye daulat ke bhukhe
Rivaazo ki duniya
Ye duniya agar mil
Bhi jaaye to kya hai
Ye duniya agar mil
Bhi jaaye to kya hai
Har ek jism ghaayal
Har ek ruh pyaasi
Nigaaho me ulajhan
Dilo me udaasi
Ye duniya hai yaa
Aalam e badahavaasi
Ye duniya agar mil
Bhi jaaye to kya hai
Ye duniya agar mil
Bhi jaaye to kya hai
Jahaa ek khilaunaa
Hai insan ki hasti
Ye basti hai murdaa
Parasto ki basti
Jahaa aur jivan
Se hai maut sasti
Ye duniya agar mil
Bhi jaaye to kya hai
Ye duniya agar mil
Bhi jaaye to kya hai
Jawani bhatakati
Hai badkaar banakar
Jawa jism sajate
Hai baazaar banakar
Jahaa pyaar hotaa
Hai vyaapaar banakar
Ye duniya agar mil
Bhi jaaye to kya hai
Ye duniya agar mil
Bhi jaaye to kya hai
Ye duniya jahaa
Aadmi kuchh nahi hai
Vafaa kuchh nahi
Dosti kuchh nahi hai
Ye duniya jahaa
Aadmi kuchh nahi hai
Vafaa kuchh nahi
Dosti kuchh nahi hai
Jahaa pyaar ki kadr
Hi kuchh nahi hai
Ye duniya agar mil
Bhi jaaye to kya hai
Ye duniya agar mil
Bhi jaaye to kya hai
Jalaa do ise phuk
Daalo ye duniya
Jalaa do jalaa do jalaa
Do ise phuk daalo ye duniya
Mere saamane se
Hataa lo ye duniya
Tumhaari hai tum hi
Sambhalo ye duniya
Ye duniya agar mil
Bhi jaaye to kya hai
Ye duniya agar mil
Bhi jaaye to kya hai