Imran Khan
Imran Khan vs Bilawal Bhutto | ft Sheikh Rasheed and Shahbaz sharif | Rap Battle
Rap Battles by Sarmad Rao

We have Imran Khan and Sheikh Rasheed vs Bilawal Bhutto and Shahbaz Sharif featuring Ghareeb Awam

Let's Gooo

[Verse 1: Imran Khan]

Hatane mujhay aagaye dekho mulk kay looteray
Shayad pata nahin inko kitne chahne wale meray
Akela kuch nahin horha tha, hogaye saray saath
Mein khara hun akela, aajao karlo mujhse baat
Tumhare time pe konsa mulk hota tha America
Tumne toh kiya hai yeh haal har shehri ka
Thori mehengai kya hogayi tum toh par gaye saray jaan ko
Bana rahe ho bewaqoof tum iss bholi awam ko
Itne saal khaya phir bhi bhara nahin pait
Yeh mulk ko samajh rakha hai tumne cheese cake
Aya hun mein theek karne iss country ka fate
Tum log yeh nahin chahte issliay karte ho hate
Sindh ko banadia hai Tumne registan
Apnay soobay nahin sambhalte, kya chalaoge Pakistan

[Verse 2: Bilawal Bhutto]

Hamari baatein choro tumse qoum jawab maangrhi hai
Tabhi toh tumhari itni zyada KAAMPEIN TANG RAHI HEIN
[Verse 3: Shahbaz Sharif]

Aa.. TAANGEIN KAAMP RAHI HEIN

[Verse 4: Bilawal Bhutto]

Oh okay
Tabhi toh tumhari itni zyada KAAMPEIN TANG RAHI HEIN
Tumhare jitne waaday thay sab jhootay saabit hogaye
Tabdeeli k intezaar mein sabke baal safaid hogye
Time hogya pura tumhara as a Prime minister
Ab ghar bethna sukoon se relax karna on bister
Apnay 4 5 doston ke ban na ab tum leader
Yeh sheikhu ziyada zidd kare tou piladena isko feeder
Adam aitemaad ayegi aur mulk ko bachayegi
Tumhari jhooti baton ki ab pol khul jayegi
Sasta hoga aata aur sasta hoga chawal
Kyunke next Prime minister banay ga Bilawal

[Verse 5: Shahbaz Sharif]

Shahbaaaz

[Verse 6: Sheikh Rasheed]

Mouqah mila toh dekho kaise aagaye mulk ko lootnay
Shadiyon pe jaise log khane per hon toot te
Kitna bolo ge jhoot bay, marjao kahin doob ke
Itni bhi kya jaldi hai, kya mar rahe ho bhook se
Adam aitmaad ka kya hona hai faida
Agle saal election hai, phirse imran ayega
Mein hun saath imran ke, deni par jaye jaan bhi
Meri wafadari ka gawah hai pakistan bhi
Sahi bataun, tou saath hu uske jo hai ikhtedaar mein
Agar tum log ziada strong tou wahan aanay ko tayaar mein
[Verse 7: Imran Khan]

Ruk toh ja thora bari bhagne ki jaldi hai
Sahi kehte hein fitrat kabhi nahi badalti hai

[Verse 8: Shahbaz Sharif]

Bohat khalia mulk ko tumne, humein bhi thora khanay do
Neechay le aaye mulk ko, humein uper lekar janay do
Chor bhi do ab kursi, kyun aisay peechay par gaye ho
Kuch chora bhi hai hamare liye ya sara chat kar gaye ho
Hum hein laaye metro, humne banaya motorway
Kaisa tha Punjab zara pucho hamare voters se
Aanay do tum humein wohi din wapas ayenge
Khud thora khayenge, thora mulk pe lagaen gay
Bechare ghareeb logon ko dikhaye tumne khawab
Ek worldcup kya jitwadiya, tabse banay ho azaab
Tumne apni team mein palay huwe hein saanp
Dekhna moqay pe yeh kaise, das k jayenge bhaag

[Verse 9: Ghareeb Awam]

Hamari parwa nahi kisi ko, hum ghareeb awam hein
Na din mein sukoon hai, na raat mein araam hai
Na aayi koi tabdeeli, na koi naya Pakistan hai
Na mila humein kabhi, roti kapra aur makaan hai
Hamari kisko parwa, sirf kursi ki yeh jang hai
Kuch din baad sabne dikha dene apne range hein
Iss saari siyasat se ab hum log aagye tang hein
Ab yaqeen kisi par bhi aana hogya band hai