Talhah Yunus
WASTED

[Verse 1: Hasan Raheem]
Han, Ay Nazneen
Teri nazron ke siwa mujh ko khumar nahi
Tu jo chahay le ke aaun mein, yeh raaz nahi
"Ab kya parda?", poochein saaray mere khaas sabhi
Mere khaas sabhi
Mizaaj nahi
Tere mere walay iss ghar ke mizaaj nahi
Dil bimaari may hai mubtila, nijaat nahi
Phir bhi dil pe rakhun tere nakhre-naaz bhi
Nakhre-naaz bhi

[Chorus: Hasan Raheem]
Meri yeh kaisi bebasi-o-behoshi hai?
Kyun mein saahilon may dooba-dooba sa?
Han, meri yeh kaisi bebasi-o-behoshi hai?
Kyun mein saahilon may dooba-dooba sa?

[Verse 2: Shareh & Hasan Raheem]
(Yeah-yeah)
Aksar hum uthtay hain sou ke
Par khud ko sanwarein nahi (No)
Woh jo kehte thay mujhe, "Tumharay hain hum, Jaana"
Woh ab hamaray nahi (No)
Mujhe loug tou milay hain bohot
Par, Jaana, woh tujh se tou pyaare nahi
Hum tou haaray hain tere nazaaron ke peeche
Par milte saharay nahi
Naa he milte hain ab kandhay
Mohabbat may ho ke andhay
Ghut'ta dum, kyun lagtay phanday?
Baatein palti hain kuch mann may
Ab tou khaali rehte kamray
Usme bus mein aur ghum rahay
Mujh ko naa-samajh samjhay tum
Dou baatein jo naa samjhay
Aajiz aa chukay hain, badlay tere taur (Tere taur)
Ay Nazneen, yeh nazrein hain bus teri ore (Teri ore)
Tujh sa naa tha koi yahan, naa hai koi aur (Koi aur)
Mein khud ko bhoola, poochta phirrun, "Hoon mein kon?" (Hoon kon?)
[Chorus: Hasan Raheem, Hasan Raheem & Shareh]
Meri yeh kaisi bebasi-o-behoshi hai?
Kyun mein saahilon may dooba-dooba sa?
Han, meri yeh kaisi bebasi-o-behoshi hai?
Kyun mein saahilon may dooba-dooba sa?

[Verse 3: Talhah Yunus]
(Yeah)
Kaun iss ghar ki dekhbaal karay?
Roz ek cheez toot jaati hai
Likhein tujh pe tou lafz kam parein
Tu mushkilein bhool jaati hai
Ab qeemti kya waqt ban gaye?
Shayad hum mashhoor kaafi hain
Hai ek ajab si bebasi, koi dooba, koi door kaafi hai
Woh kahay, "Tum tou bhool jaatay
Jab bhi door jaatay
Koi usool baaqi nahi
Purani baatein bhool jaa
Ghar hua khaali, sirf mitti aur dhool baaqi hai"
Sab ki aankhon ko parhte
Woh huay be-naqaab shayad, dil se utar gaye
Aadaton ke dar se, kya door huay ghar se?
Diya sab ka saath har safar may sifar se
Saaqi ab barsay gaye hain
Maikhaanon may lafz mere charhtay rahay hain
Zabaanon pe umarein beet jaati hain dil ko samjhanay may
Basti ujaagar ab mere diwanon se
Doobay ab yaad may teri
Tere jaisa naa mila
Meri yeh kaisi bebasi?
Mein tou hosh may bhi tha
Leher ban ke woh saahil pe khari
Jaanay ka sochta raha
Soorat chaand si teri
Aasmaan pe dhoondta raha
[Chorus: Hasan Raheem & Talhah Yunus]
Meri yeh kaisi bebasi-o-behoshi hai?
Kyun mein saahilon may dooba-dooba sa?
Han, meri yeh kaisi bebasi-o-behoshi hai?
Kyun mein saahilon may dooba-dooba sa?

[Outro]
Rock-rock-rockstar