Yashraj
Kaise Badlenge?
Chorus:
Kaise badlege tum bhi?
Kaise badloge tum bhi?
Kaise badlege tum bhi?
Kaise badloge tum bhi?

Chorus:
Kaise badlege tum bhi?Kaise badlenge hum bhi
Kaise badloge tum bhi
Kaise badlenge hum bhi
Kaise badloge tum bhi
Tum bhi

Verse 1:
Main puchhun fayda kya?
Khuli Azadi zindagi me
Toh fir kaida kya?
Ghar hi jab lage khaali kamre
Toh fir maika kya?
Jab teri baatein itni kadwi
Toh fir zaika kya?
Haan!
Jabhi bhi Kholta muh
Uthata awaaz sab bolte chup kar
Kehte wo, Bol apne man ki
Khol baatein dil ki par karna chhup kar
Maana main khudgarz
Isliye khud karz mujhe bharne ki aadat hai
Toh main jab sharafat se likhta hu aafat
Ibaadat ban jaati kyun aadat hai?
Laanat hai sabpe so samjhe na
Jo banunga apne hi dum pе, haan
Ye bol hai aise ki thamte na
Hum tootеnge tabhi to bante haan
Sitam to ho na kam
Ye jang se hum ho jaate dang
Ki badle rang sab jaise Holi
Dil mein hai aag, wo jalte jaise Lohri
Chorus:
Kaise badlenge hum bhi
Kaise badloge tum bhi?
Kaise badlenge hum bhi
Kaise badloge tum bhi
Kaise?
Kaise badloge tum bhi??
Na pata ye rasta main lapata
Main khamakha hi ga raha jo aa raha
Main na raha jo thaame haath aur dede sath
Wo beeti baat umeed ke sath
Wo karte baat main bolta 'baad mein'
Kare istemaal ye jaise Mr. Mallya
Kare bank se baatein jane kis kamaal se
Baithe sab rumaal mein
Seedha jeb mein

*beat switch*

Bridge:
Sun chuka taane main boht
Kiye the waade bhi boht
Ki sach hai main kabhi nahi badlunga
Jhooth ki kaisi ye chaud
Sun chuka taane main boht
Likh chuka gaane bhi boht
Ki sach hai main kabhi nahi badlunga
Jhooth ki kaisi ye chaud
Sun chuka taane main boht
Kiye the waade bhi boht
Ki sach hai main kabhi nahi badlunga
Jhooth ki kaisi ye chaud
Sun chuka taane main boht
Likh chuka gaane bhi boht
Ye sach hai main kabhi nahi badlunga
Jhooth ki kaisi ye chaud
Ye sach hai main kabhi nahi badlunga