Kishore Kumar
Gore Rang Pe Itna Gumaan Na Kar
[Chorus: Kishore Kumar & Lata Mangeshkar]
Gore rang pe na itna gumaan kar
Gora rang do din mein dhal jaayega
Gore rang pe na itna gumaan kar
Gora rang do din mein dhal jaayega
Main shama hoon tu hai parwana
Main shama hoon tu hai parwana
Mujhse pehle tu jal jaayega
O, gore rang pe na itna gumaan kar
Gora rang do din mein dhal jaayega
[Instrumental-break]
[Verse 1: Kishore Kumar & Lata Mangeshkar]
O, roop mit jata hai ye pyaar-e-dildar nahi mitta
O, phool murajhane se gulzar-o-sarkar nahi mitta
O, roop mit jata hai ye pyaar-e-dildar nahi mitta
[Pre-Chorus: Kishore Kumar]
Kya baat kahi hai oye tauba
Kya baat kahi hai oye tauba
Ye dil beimaan machal jaayega
[Chorus: Kishore Kumar]
O, gore rang pe na itna gumaan kar
Gora rang do din mein dhal jaayega
[Instrumental-break]
[Verse 2: Lata Mangeshkar & Kishore Kumar]
O, aapko hai aisa inkar to ye pyaar yahin chhodo
O, pyaar ka mausam hai bekaar ki takraar yahi chhodo
O, aapko hai aisa inkar to ye pyaar yahin chhodo
[Pre-Chorus: Lata Mangeshkar]
Hathon mein hath zara dedo
Hathon mein hath zara de-do
Baaton mein waqt nikal jaayega
[Chorus: Lata Mangeshkar]
Main shama hoon tu hai parwana
Mujhse pehle tu jal jaayega
[Instrumental-break]
[Verse 3: Lata Mangeshkar & Kishore Kumar]
O, main tujhe kar daaloon
Masroor nashe mein choor to maanoge
O, tumse main ho jaaoon
Khud door aye magroor ho maanoge
O, main tujhe kar daaloon
Masroor nashe mein choor to maanoge
[Pre-Chorus: Lata Mangeshkar]
Tu lakh bacha mujhse daaman
Tu lakh bacha mujhse daaman
Ye husn ka jaadu chal jaayega
[Chorus: Kishore Kumar & Lata Mangeshkar]
O, gore rang pe na itna gumaan kar
Gora rang do din mein dhal jaayega
Main shama hoon tu hai parwana
Main shama hoon tu hai parwana
Mujhse pehle tu jal jaayega