Kishore Kumar
Chingari Koi Bhadke
[Verse 1]
Chingari koi bhadke, to saawan use bujhaye
Saawan jo agan lagaaye, usse kaun bujhaye?
Patjhad jo baag ujaade, wo baag bahaar khilaye
Jo baag bahar mein ujade, usse kaun khilaye?
[Verse 2]
Humse mat puchho kaise, mandir tuta sapno ka
Logo ki baat nahi hai, ye kissaa hai apno ka
Koi dushman thes lagaye, to mit jiyaa behlaaye
Man-mit jo ghaav lagaye, use kaun mitaaye?
[Verse 3]
Na jaane kya ho jaataa, jaane ham kya kar jaate
Peete hai to zinda hai, na peete to mar jaate
Duniya jo pyaasa rakhe, to madira pyaas bujhaye
Madira jo pyaas lagaye, use kaun bujhaye?
Use kaun bujhaye?
[Verse 4]
Maana tufaan ke aage nahi chalta zor kisi ka
Maujo ka dosh nahi hai, ye dosh hai aur kisi ka
Majdhaar mein naiyaa dole, to maajhi paar lagaye
Maajhi jo naav duboye, use kaun bachaye?
O use kaun bachaye?