Kishore Kumar
Mere Saamne Wali Khidki
[Intro]
Are hey...
La La La La La La La La La La La La La La

[Chorus]
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke vo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

[Verse 1]
Jis roz se dekha hai usko
Hum shamaa jalaana bhool gaye
Jis roz se dekha hai usko
Ham shamaa jalaana bhool gaye

Dil thaam ke aise baithe hain
Kahin aana-jaana bhool gaye
Ab aath pahar in aankhon mein
Koi chanchal mukhda rehta hai

[Chorus]
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
[Verse 2]
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye

Par uski ek jhalak ko hum
Ae husn ke maalik taras gaye
Kab pyaas bujhegi aankhon ki
Din-raat ye dukhda rehta hai

[Chorus]
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke vo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai