Genius Romanizations
Emiway Bantai - LADKA ALAG SA (Romanized)
[Verse 1]
Haan ladka alag sa
Yeh badlega naqsha yeh
Gaana jis din drop
Uss din pareeksha hai
Mera surakhsa hai 24’on ghanta
Sath mein farishta hai
Haan mera rishta hai gehra qudrat se
Hakk ki kamai khud rakhte
Kuchh chlte good luck pe
Band kar de budbak ke
Haan galat dhandha matlab galat banda
Aakhein hain phir bhi kyun andha
Duniya ko kyun kar raha ganda
Padega danda lagega phanda
Tab jaake samjhega tere ko kitna tu mand tha
Chal be
Mere ko ghanta farak hai kisi se
Yeh linein chhaape sirf Tupac or Biggie se
Nakli logon sirf bocha dega rikishi
Messages karti hai bandiyan pretty si
Life hai masha-allah bolne ko etc
Dhokhebaaz jo karte hain woh
Munh pe baatein karte meethe sе
Apun bhi sadak ke bande hain
Ghoom ke aayеle be bkc
Lekin sab mujhe bolenge ki
Emiway bhadakna nai now be easy be easy
Emiway peace hai peace hai
Yes man koshish to kar reh le
Apun ki chillayenge nai
Woh to hai
Arre maa mobile band haan haan
Ghussa aa raha itna
Okay
[Verse 2]
Main jee raha hoon marzi se sila le darzi se
Bete ki chaddhi phateli hai
Main niklela beta yahan khud ke dum pe
Haan isliye to meri pateli hai
Bina industry mein ghuse hum kheli hai
Na bana chela na rakha koyi cheli main
Gaane to baj rele har jagah har din
Mudde to ban rele daily hain
Khel hum jo khelein tum kheliye
Zaalim zamane ki takleefein jheliye
Jholam jhaal ke ginti mein main nahi hai
Pelam paal mein pel diye
Belan maar ke bel diye
Chapaati jaise hum hater ko
Pyar karo watchman aur waiter ko
Batista hai apun Batista bomb dete
Jaa jaake bhej Undertaker ko
Vaise hi hai jiske dil mein kuchh nai hai
Kasam se
Gaadi chalegi yeh nai chahiye pahiye
Duniya meiin bharele kaafi chaapaiye
Chal be paapaiye
Rapper nai saucer aur cup hai yeh
Pee ke feeka dunga dhone ko sar pe yeh
Phatka padega jab lukhe yeh janenge
Apne se milne ko kitne log intezaar pe
Mere baare bura bola chocobar le
Itna zyada famous hoon main ghoomta bar mein
Sabko bhaad mein phenko inko to dekho
Apne hi logon se aapas mein sarh gayi hai
Sarh gayi hai
Insaniyat mar gayi hai
Mahilayein raaste pe chlne ko
Kaye ko to dar gayi hai
Kyun
Khane ko khana nai abadi badh gayi hai
[Verse 3]
Laga de laga de baa
Laga de baa sab log ki laga de baa
Haan haan
Laga de baa in log ki laga de baa
Andar ki bujha de aag
Jiska bhala kare usko nahi yaad
Duniya barbaad
Laga de ba in log ki laga de ba
Andar ki bujha de aag
Jiska bhala kare usko nai yaad
Duniya barbaad duniya barbaad
Gussa aa raha itna gussa hai khandaani
Palti jo maare be usko main janta nai
Google pe maar search milegi jaankari
Jaan pyari hai to nai jeena udhari mein
Zehrila sanp hoon be khud ka madari main
Karta gaddari main kabhi nai
Abhi nai kiya to kabhi nai
Shuru to kar
Kamyaabi milega dheere dheere
Beta tabhi ke tabhi nai
Sabhi nai bolenge tere baaton pe
Haan tab bhi nai khona tu khud pe bharosa
Aisa koyi kaamyaab insan he nai hai
Jisko kabhi kisi ne nahi kosa
Tera bhai dosa ka shaukeen hai haan
Aas paas khaas mere 2-3 hain
Aur bhi hain public dil mein jo baste hain
Baaki ke logon ko kyun ginein Kyun kyun
Boht aaye boht gaye boht din hain
Koyi karta garda koyi co**ine hai
Ladka boht vella boht shokeen hai
Barson se kar raha hip-hop
Haan bachche masti karne aa rahe
Mere paas rok inhein
Ruk
[Outro]
Ruk ja baba masti nai
Yeh koyi kashti nai ki
Jo bhi aave chadh jaaye baba
Bantai ki public aur Bantai se masti nai
Apun sachai bolte aur sachai to kisi ko pachti nahi
Hahaha
Peace out