Genius Romanizations
Deepak Rathore Project - Tuta Pull Wahan (Romanized)
Bhool ke rashte saare
Baithe dil ke bechaare
Jo tu humein na pukaare
Mushkil milte kinaare
Nadiyan baarish tujhse hoti thi
Sukhe baadal tuhi bhingoti thi
Wo titli jisne baahein chhuyi thi
Wo mitti ki gullak jo tooti thi
Kahti phir se
Tu ghar aaja, Tu ghar aaja
Mere yaar, Mere yaar
Tuta hai pull wahan
Tu mere paas aaja, mere yaar
Dhundhla sa lage jahaan
Tu aake dhoop ban ja mere yaar
Shardi bhi thi sharmaayi
Tu neele suit mein aayi
Phir nazre jo milaayi
Haaye, is dil ki thi tabaahi
Dekha nahi tujhe aarso se
Baat nahi ab barsho se
Khooye huye tere charcho se hai kahan
Pahado mein mera basera hai
Gale mein ye muffler tera hai
Aake tu isko aadha odh ja
Nadiyan baarish tujhse hoti thi
Sukhe baadal tu hi bhingoti thi
Titli jisne baahein chuyi thi
Wo mitti ki gullak jo tooti thi
Kahti phir se
Tu ghar aaja, Tu ghar aaja
Mere yaar, mere yaar
Tuta hai pull wahan
Tu mere paas aaja, mere yaar
Dhundhla sa lage jahaan
Tu aake dhoop ban ja mere yaar
Jis raah tu aaye
Wo tu bhoolti jaaye
Jo tu aaye, phir na jaaye
Jis raah tu aaye
Wo tu bhoolti jaaye
Wahan patte gir jaaye
Baarish ho jaaye
Jis raah tu aaye
Wo tu bhoolti jaaye
Wahan patte gir jaaye
Baarish ho jaaye