Genius Romanizations
Harjas-Toota Dil(romanized)
[Chorus]
Toota hai dil tabhi leke phirun hathon mein
Mere saare din beete teri raaton mein
Kabhi yunhi aake mil barsaton mein
Kyon tu ni dekhti jaana meri aakhon mein

[verse 1]
Jab bhi aati hai tu dil tod jaati hai
Mere liye mushkil chhod jaati hai
Kuchh din tujhe yaad bhi aati hai
Bas yeh dil kuchh kehna na chaahti hai

Mere dil ke tu kar deti tukde
Tujhse haseen dekhe kaafi mukhde
Par dil mera maanta nahi hai jaana
Tujhpe hi aake baar baar rukh raha

Maagun maafi mujhe maaf kar jao na
Sab bhula ke insaaf kar jao na
Hazaron ghaltiyan kar baitha yaar tera
Mauka deke dil saaf kar jao na

[Chorus]
Toota hai dil tabhi leke phirun hathon mein
Mere saare din beete teri raaton mein
Kabhi yunhi aake mil barsaton mein
Kyon tu ni dekhti jaana meri aakhon mein
[verse 2]
Dil toota leke kahan kahan ghumun main
Sapnon mein mere gaal tere chumun main
Tujhe pyar doon ya haal tera puchhun main
Teri yaadon mein hi roz raat jhumun main

Khud se tujhko maim door kar jaunga
Toote aashiq mashoor kar jaunga
Tu kisi aur ki hoor ban jayegi
Main karun vaada mud ke nahi aaunga

Dooriyan nibhani maine kabhi haarna nahi
Yeh zidd teri meri baby pyar wali
Mere dil pe nishaana ab marna nahi
Pahle hi aankhon se hai goli toone maar dali

Gham apne main kisko sunaunga
Chup rah ke main tanha ho jaunga
Kisi ko pata nahi chale kabhi dard mera
Rote rote bhi main sabko hasaunga

[Chorus]
Toota hai dil tabhi leke phirun hathon mein
Mere saare din beete teri raaton mein
Kabhi yunhi aake mil barsaton mein
Kyon tu ni dekhti jaana meri aakhon mein