Genius Romanizations
Aira Gaira (From ”Kalank”) (Romanized)
Haan
Bilori nigahon se kare hai sau ishare
Khidki ke neechay naaspeeta seeti maare
Bilori nigahon se kare hai sau ishare
Khidki ke neechay naaspeeta seeti maare

Ishq mein huwa hai, thoda andha thoda behra
Saiyan mera aira gaira nathu khaira

Hoor sa chehra irani
Aur lehja hindustani
Jheel si teri aankhon mein
Ek hal-chal hai toofani

Dekh mehfil main aye hain
Jaan ki dene kurbani
Ek mehbooba ki khatir
Aaj do-do dilbar-jani

Jinke dil ke engine
Tere teshan pe hai thehra
Jinke dil ke engine
Tere teshan pe hai thehra

Samjhe kahe aira gaira nathu khaira
Samjhe kahe aira gaira nathu khaira
Raat leke aayi hai
Jashn-taari aye haye haye
Kaam galat karne ki hai
Apni baari, aye haye haye

Oh raat leke aayi hai
Jashn-taari aye haye haye
Kaam galat karne ki hai
Apni baari, aye haye haye

Aaj naachein gaayein
Zara ishq-vishq farmayein
Aur jaan jalaane wali bhaad mein jaye
Sari duniyadari aye haye haye
Aye haye, oye hoye, oye hoye

Ho dil ke ayine mein jhaake
Sundari ka chehra
Ho dil ke ayine mein jhaake
Sundari ka chehra

Ishq mei huva hai thoda andha, thoda behra

Saiyan mera aira gaira nathoo khaira
Saiyan mera aira gaira nathoo khaira
Saiyan mera aira gaira nathoo khaira
Billori nigahon se karey hai sau isharey
Khidki ke neeche naaspeeta seeti maarey
Billori nigahon se karey hai sau isharey
Khidki ke neeche naaspeeta seeti maarey

Ishq mein huwa hai thoda andha thoda behra
Saiyan mera, saiyan mera

Saiyan mera aira gaira nathoo khaira
Saiyan mera aira gaira nathoo khaira
Saiyan mera aira gaira nathoo khaira

Oh waqt ka yeh sitam hai
Tumhare toh hum hain
Tum magar ho amanat kisi aur ki

Bas mohabbat tumhari
Hai daulat humari
Tum magar ho virasat kisi aur ki
Jis din nikle jaan humari
Ik baar milne aana, tum leke ijazat kisi aur ki
Leke ijaazat kisi aur ki