Genius Romanizations
Sawan Aaya Hai
[Intro]
Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
[Chorus]
Mohabbat barsa dena tu, saawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
Sabse chhupa ke tujhe seene se lagaana hai
Pyar mein tere hadd se guzar jaana hai
Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai
[Post-Chorus]
Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
[Verse 1]
Kyun ek pal ki bhi judaai sahi jaaye na
Kyun har subah tu meri sanson mein samaye na
Aaja na tu mere paas, dunga itna pyar main
Kitni raat guzaari hai, tere intezar mein
Kaise bataaun jazbaat ye mere
Maine khud se bhi zyada tujhe chaaha hai
[Chorus]
Sab kuch chhod ke aana tu, sawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
Sabse chhupa ke tujhe seene se lagaana hai
Pyar mein tere hadd se guzar jaana hai
Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai
[Verse 2]
Bheege bheege tere lab
Mujhko kuch kehte hain
Dil hai khush mera ke khayal ek jaise hain
Roko na ab khudko yun sun lo dil ki baat ko
Dhal jaane do shaam aur aa jaane do raat ko
Kitna haseen ye lamha hai
Kismat se maine churaaya hai
[Chorus]
Aaj ki raat na jaana tu, sawan aaya hai
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
Sabse chhupa ke tujhe seene se lagaana hai
Pyar main tere hadd se guzar jaana hai
Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai