Genius Romanizations
DIVINE - Sher Aaya Sher (Romanized)
[Verse: 1]

Sher ki zubaani
Sun ye sher ki kahani
Yaha rap nahi hota
Tere vehem ko bhagadi
Ladkiyan na gaadi
Apni alag hi aabaadi
Asal rap ka ye jwala
Tere aatma me jagaadi
Kyuki farak hai
Haan tujhe chedne ki talab hai
Tu nakhli wala marad
Mardaangi pe kalank
Haivaniyat ki shakal
Jitni tujhme me garmi
Usse zyada garam
Mera kalam
Kyu itna besharam
Kaam ka wo aaj
Jisme tera kal nahi
Kya kaam ka wo kaam
Jisme tu safal nahi
Bal nahi
Dimaag ki zarurat
Tere bhai ki hukumat
Sacchai ki ye Surat

[Hook]

Bhag bhag bhag
Aaya sher aaya sher(X3)

Sacchai ki ye leher
Harr mohalle me keher


[Verse: 2]

Aan dadagiri band kar
Tu chal to sambhal kar
Khud ko to dhundhke tu
Usko amal kar
Nakhli guroor
Usko masal kar
Nakhli vajood
Usko kuchal kar

A zara kam kar
Shaane giri kam kar
A zara kam kar
Lukkhe giri kam kar
A thanda kar jo bukhar tere sar par
Kam kar
Guroor ye khatam kar
A zara kam kar
Shaane giri kam kar
A zara kam kar
Lukkhe giri kam kar
A thanda kar jo bukhar tere sar par
Kam kar
Guroor ye khatam kar


[Hook]
Bhag bhag bhag
Aaya sher aaya sher(X3)

Sacchai ki ye leher
Harr mohalle me keher