Genius Romanizations
Qaafirana
[Verse 1: Arijit Singh]
Inn waadiyon mein takra chuke hain
Humse musafir yun toh kayi
Dil na lagaya humne kisi se
Qisse sune hain yun toh kayi

[Chorus: Arijit Singh]
Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai
Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai

[Verse 2: Arijit Singh]
Khamishiyon mein boli tumhari
Kuch iss tarah goonjti hai
Kaano se mere hote huve wo
Dil ka pata dhoondhti hai
Beswadiyon mein, beswadiyon mein
Jaise mil raha ho koi zaayka
[Chorus: Arijit Singh]
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai
Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai

[Verse 3: Nikhita Gandhi]
Godi mein pahadiyon ki
Ujli dopahri guzarna
Haaye haaye tere saath mein, acha lage
Sharmeeli akhiyon se tera
Meri nazrein utaarna
Haaye haaye har baat pe acha lage
Dhalti shaam ne bataya hai
Ki door manzil pe raat hai
Mujhko tasalli hai yeh
Ki hone talak raat hum dono saath hain

[Bridge: Nikhita Gandhi]
Sang chal rahe hain
Sang chal rahe hain
Dhoop ke kinaare chhaaon ki tarah
[Chorus: Nikhita Gandhi, Arijit Singh & Both]
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai?
Hmm, Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai