Genius Romanizations
Mann Mera
[Verse 1]
Saari raat aahein bharta
Pal-pal yaadon mein marta
Maane na meri mann mera
Thode-thode hosh madhoshi si hai
Need behoshein si hai
Jaane kuch bhi na mann mera
Kabhi mera tha par ab begaana hai ye
Deewana-deewana samjhe naa ho

[Chorus]
Kabhi chup-chup rahe, kabhi gaaya ye kare
Bin pooche tere tarifen sunaya ye kare
Hai koi haqeeqat tu ya koi fasana hai
Kuch jaane agar to itna ki ye tera deewana hai
Hai re mann mera, maane na mann mera

[Verse 2]
Rag-rag wo samaya mere
Dil par woh chaaya mere
Mujhmein wo aise jaise jaan
Gire barsaat mai paani jaise
Koi kahaani jaise
Dil se ho dil tak jo bayaan
Aashiq dil tera purana hai ye
Deewana-deewana samjhe na ho
[Chorus]
Kabhi chup-chup rahe, kabhi gaaya ye kare
Bin pooche tere tarifen sunaya ye kare
Hai koi haqeeqat tu ya koi fasana hai
Kuch jaane agar to itna ki ye tera deewana hai
Hai re mann mera, maane na mann mera

[Bridge]
Tujhko jo dekhe ye mujhko leke
Bas tere peeche-peeche bhaage
Tera junoon hai tu hi sukoon hai
Tujhse hi bandhein dil ke dhaage

[Chorus]
Kabhi chup-chup rahe, kabhi gaaya ye kare
Bin pooche tere tarifen sunaya ye kare
Hai koi haqeeqat tu ya koi fasana hai
Kuch jaane agar to itna ki ye tera deewana hai
Hai re mann mera, maane na mann mera