Genius Romanizations
Ranjish Hi Sahi
Kis-kis ko batayenge judaayi ka sabab hum

Tu mujhse khafa hai to zamaane ke liye aa
Ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
Ranjish hi sahi

Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Pehle se maraasim na sahi
Phir bhi kabhi to
Pehle se maraasim na sahi
Phir bhi kabhi to

Rasm-o rah-I duniya hi nibhaane ke liye aa
Ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
Ranjish hi sahi

Maana ke muhabbat ka chhupaana hai muhabbat

Chupke se kisi roz jataane ke liye aa
Ranjish hi sahi
Aa phir se mujhe chhoṛ ke jaane ke liye aa