Genius Romanizations
Zaroori Tha
[Intro]
Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri khat mera jalaya hoga
Tune jab phool, kitabon se nikaale honge
Dene waala bhi tujhe yaad to aaya hoga
[Chorus]
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha
Zuroori tha ki, hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu'on ka, bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
[Verse 1]
Bataao yaad hai tumko, wo jab dil ko churaya tha?
Churaai cheez ko tumne, Khuda ka ghar banaya tha
Wo jab kehte the, mera naam tum tasbih mein padhte ho
Mohabbat ki Namaazo ko, Qara karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai, wo baatein thi, mehaz baatein
Kahin baaton hi baaton mein, mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
[Verse 2]
Wahi hai sooratein apni, wahi main hoon, wahi tum ho
Magar khoya hua hoon main, magar tum bhi kahin gum ho
Mohabbat mein dagha ki thi, So kaafir the so kaafir hain
Mili hain manzilein phir bhi, musaafir the, musaafir hain
Tere dil ke nikaale hum, kahaan bhatke, kahaan pahunche
[Chorus]
Magar bhatke to yaad aaya, bhatakna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi, bichhadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ki, hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu'on ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha