Genius Romanizations
Chaudhvin Ka Chand Ho
[Intro]
Chaudhvin ka chaand ho ya aafatab ho?
Jo bhi ho tum khuda ki kasam lajawab ho
Chaudhvin ka chaand ho ya aafatab ho?
Jo bhi ho tum khuda ki kasam lajawab ho
Chaudhvin ka chaand ho

[Verse 1]
Zulfein hai jaise kaandho pe baadal jhuke huye
Aankhein hai jaise mayke pyale bhare huye
Masti hai jis mein pyar ki tum wo sharab ho
Chaudhvin ka chaand ho

[Verse 2]
Chehara hai jaise jheel mein hasta hua kaval
Ya zindagi ke saaz pe chhedi hui gazal
Jaane bahaar tum kisi shayar ka khwaab ho
Chaudhvin ka chaand ho

[Verse 4]
Hothon pe khelti hai tabassum ki bijliya
Sajde tumhari raah mein karati hai kahkasha
Duniya-e-husn-o-ishq ka tum hi shabab ho

[Outro]
Chaudhvin ka chaand ho ya aafatab ho?
Jo bhi ho tum khuda ki kasam lajawab ho