[Verse 1: Talha Anjum]
Maafi talaafi ki kaafi par aayi kaam nahi
"G", "Aap", woh leti mera naam nahi
Pills pop, I let the weed smoke
Sometimes just talking does not make the pain go
Tu he aag, tu he uspe parti baarish
May woh khaali haveli jiski tu akeli waaris
Tu hee chaaon, tu hee dhoop, rangon ke saat roop
Tu jitni khoobsoorat, uss se kahee'n zyada duur
May likhna chhor duu jo tere baare
May qalam torr duu aur tu siyaahi mein basa rahe
Hansa rahe zamaane ko, khud se pareshaan
Woh parhti thi kitaabein, mein parhta hun insaan
Insaan bhi kya cheez hai
Aik mein wafa nahi aur dusre ko wafa ki umeed hai
Insaan bhi kya cheez hai
Mein kal guzra, phir udhar se tou yaad agayi chiz aik
Tera number nahi hai, you left the city and you’re gone
Baat karne ko hai bass ye microphone
Wohi kaghaz, wohi qalam, lehjе sakht, dil naram
Badd bakht, bass karo, udaasi har taraf
Jhootay tere bharam, kis baat pe tu barr-ham
Par hum kyu, abhi stuck likе a jam on a one-way
But someday, tu samajh jayegi duur hoke hum se ke
Hum mein wo qaraar nahi, pehle wali baat nahi
Tujhe kiya azaad ya di hai khud ko saza
Lekin dil ke mohalle mein, ab tera makaan nahi
[Chorus: Talha Anjum]
Aj phir tu ayi nahi, yaad teri aayi thi
Bewaja he bewafa se bepanah umeed jo lagayi thi, mmm
Aj phir tu ek gumaan, aj phir tu shayeri
Socha tha tu aegi, torr ke woh rasmein saari dunya ki riwayeti
But god damn it girl
Aj phir tu ayi nahi, yaad teri aayi thi
Bewaja he bewafa se bepanah umeed jo lagayi thi
[Verse 2: Talhah Yunus]
Raazi dil tou razamand hum kyu nahi
Nahi taapi pill, gaanay likhe ye shayoor bhai
Ye ajizi hai baghi isko kehte hum ghuroor nahi
Dil-e-maghroor, tu bhi khoob, tou haram dena sood phir
I’m just a text away, itna bhi duur nahi
Feels like yesterday, sach ka saboot nahi
Tu hi zawal mera, tu hi hai urooj, ay
Lougo'n se puch ye qalam likhta jhoot nahi
Gham dekar phir dilaase kese?
Muu pe tasalliya'n tou dunya mein tamashe kese?
Hum aaj bhi kehte, na koi raqeeb, na hareef
Hum thay ghareeb najanay kaati hain woh raatein kese?
Qalam chor ya qalam tor, aa wazan tol
Nahi hazam shor, ye azam khoj, tu surangh khod
Tarazu hi nahi jo tolega ye dozen bol
Tu raqam soch in lafzon ki, aaja zakham tol, ay
Insaan bhi kya cheez hai
Ek mein wafa nahi aur dusre ko wafa ki umeed hai
Insaan bhi kia cheez hai
Jhoot ki saza nahi tou tohmaten lagane pe yahan dheel hai
Tu jese rehmat, tu hi hoor, tu hi noor, Koh-i-Noor
Tu hi saya, tu hi dhoop, tu fitoor ye futoor
Tu itni khoobsurat ke may likhne pe majboor
Badal sirhana, kyu ke duur, tu ne tou aana nahi
Khudkush zamana, ye ek gaana koi fasaana nahi
Likh dein afsanay tujh pe lekin—
[Chorus: Talha Anjum]
Aj phir tu ayi nahi, yaad teri aayi thi
Bewaja he bewafa se bepanah umeed jo lagayi thi, mmm
Aj phir tu ek gumaan, aj phir tu shayeri
Socha tha tu aegi, torr ke woh rasmein saari dunya ki riwayeti
But god damn it girl
Aj phir tu ayi nahi, yaad teri aayi thi
Bewaja he bewafa se bepanah umeed jo lagayi thi