Ali Sethi
Aaqa
Tarz-i sanaayi man nami-daanam
Ay noor-i qalbi ay noor-i rooham
Kaa‘ba-i dil-ha qibla-i dil-ha
‘Ishq-i haqeeqi khaaliq-i ‘aalam

Maula
Maula
Maula

Jahaan bhi dekho tera nishaan hai
Mahraab-i dil men teri azaan hai
Tu hi ahad hai, tu hi hai waahid
Tu hi hai makhfi, tu hi jali hai

Yeh sab tumhaara karam hai Aaqa
Yeh sab tumhaara karam hai Aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai
Yeh sab tumhaara karam hai Aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai

Kisi ka ahsaan kyoon uṭhaaen
Kisi ko haalaat kyoon bataaen
Tumheen se maangen ge tumheen do ge
Tumhaare dar se hi lau lagi hai

Yeh sab tumhaara karam hai Aaqa
Yeh sab tumhaara karam hai Aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai
Ye sab tumhaara karam hai Aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai
Allaah hu
Allaah Allaah hu
Allaah hu
Allaah Allaah hu

Ay mere maalik
Ay mere maalik, mere khaaliq, mere haajat-rawa
Jab naheen ho saath koyi
Jab naheen ho saath koyi bas tera hai aasara
Ay mere maalik, mere khaaliq, mere haajat-rawa
Jab naheen ho saath koyi bas tera hai aasara
Chhaaye kaheen jo gahra andhera
Teri ‘ata se aaye sawera
Teri hi khalqat chaand tare
Tu ne hi bakhshi yeh raushani hai

Yeh sab tumhaara karam hai Aaqa
Yeh sab tumhaara karam hai Aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai
Yeh sab tumhaara karam hai Aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai

Main faqeeri men bhi hoon kitna qalandar dekho
Dekhne waalo zara mera muqaddar dekho
Khata hui to khata ko meri chhupaaya hai tum ne
Karam apna kar diya apna banaaya tum ne
Kisi ka ahsaan kyoon uṭhaaen
Kisi ko haalaat kyoon bataaen
Tumheen se maangen ge tumheen do ge
Tumhaare dar se hi lau lagi hai

Yeh sab tumhaara karam hai Aaqa
Yeh sab tumhaara karam hai Aaqa
Keh baat ab tak bani hui hai
Yeh sab tumhaara karam hai Aaqa
Keh baat ab tak bani hui hai

Tu khuda-i lam yazil
Tu hi hai rabb ul-‘aalameen
Tere sajde men jhuki donon jahaanon ki jabeen
Tu hi awwal tu hi aakhir
Tu ahad waahid bhi tu
Wird tere naamon ka ho raha hai ku-ba-ku
Tu khuda-i lam yazil
Tu hi hai rabb ul-‘aalameen
Tere sajde men jhuki donon jahaanon ki jabeen
Tu hi awwal tu hi aakhir
Tu ahad waahid bhi tu
Wird tere naamon ka ho raha hai ku-ba-ku

Tu khuda-i lam yazil
Tu hi hai rabb ul-‘aalameen
Tere sajde men jhuki donon jahaanon ki jabeen
Tu hi awwal tu hi aakhir
Tu ahad waahid bhi tu
Wird tere naamon ka ho raha hai ku-ba-ku
Tu khuda-i lam yazil
Tu hi hai rabb ul-‘aalameen
Tere sajde men jhuki donon jahaanon ki jabeen

Tu hi awwal tu hi aakhir
Tu ahad waahid bhi tu
Wird tere naamon ka ho raha hai ku-ba-ku
Maula